"Shayad Unhone Kabhi Pyaar na kiya" Hindi Shayari By Harsh Mengi

1.

Humne Izhaar bhi unhe kiya,
jinhone ikrar naa kiya.
Chlo ikrar toh door,
unhone inkaar naa kiya,
Yaar toh ache the wo hamare, 
Shyd unhone kbhi humse pyaar naa kiya..


2.

Sochta hoon ki usse har sawal ka jawaab maang loon,
Usse har kasmon aur vaadon kaa hisaab maang loon,
Pure shehar mai doondne k baad jo usse diya thaa,
Wo sukha "Gulaab" bhi usse waapis maang loon.

Comments